LTC CASH VOUCHER SCHEME FOR CENTRAL GOVERNMENT EMPLOYEES
1. Kya hai ye Scheme
2. Es Scheme ke kya kya Fayde hai
3. Kitne Rupiye ki kharidari kare
4. Payment kaise kare
5. Bills kaise banwaye
1. Kya hai ye Scheme
yah scheme kewal Central Government Employees ke liye sarkar ne 10 oct 2020 notification jari kiya tha ki , yadi kisi central govt employee corona virous ke chalte LTC ka fayada nahi utha pa raha matlab kahi ghumne nahi ja sakta ya home town yani apne ghar nahi ja sakata hai to uski LTC kharab na jaye uski jagha aap agar 31.03.2021 tak kuchh kharidte hai or uska bill submit karwate hai to aapko bina ghume hi ltc ka fare yani kiraya de diya jayega or aap 10 days leave enchasement ka fayada bhi utha sakate hai.
2. Es Scheme ke kya kya Fayde hai
es scheme se government and government employees dono ko fayada hai . sabse pahle hum employee ke fayde ki bat kar lete hai . employees ko bina ghume yani yatra kiraya kharch kiye bina hi 6000 Rs per member ke isab se yatra kiraya milega or 10 days leave enchasement bhi milega to goverment employee es scheme ka fayada utha sakte hai. lekin esme sarkar ka bhi fayada hai tabhi sarkar ye scheme leke aayi hai dosto . sarkar ka fayada ye hai dosto sarkar 10 days ka leave enchasement pay karegi or 10 dino ki chhuti kategi or uski jagha aapko duty bhi karni padegi lekin agar aap ghumne jate hai to 10 din ka paisa bhi milta hai or chhuti bhi. likin kul mila ke dono ko fayada hai. to doso es scheme ka fayada aapko jarur uthana chahiye.
3. Kitne Rupiye ki kharidari kare
ab mai aapko batata hu ki aapko kitne rupees ki kharidari karni hai . eske liye dosto aapko janna hai ki aapko kitne rupess ki kharidari karni hai to dosto aap niche diye huye link par clik karke eski jankari direct le sakate hai ya fir aap khud es formula se calculation kar sakate hai.kitne rupiyo ki kharidari karni hai = 18000*family member ki sankhya + 10 days (Basic+DA) salaryLTC SPECIAL PACKAGE CALCULATION ko niche diye link par upload kiya gya haior es link par aap es package se sambndhit aadesh or anya jankariya bhi pa sakate hai jisme advance application form bhi hai
mkp.org.in/ltc
4. Payment kaise kare
es scheme me payment par khas dhayan diya gya hai or sarkar ne bola hai ki koi bhi sarkari karmachari cash ya fir check se payment nahi karega agar koi karmachari aisa karta hai to uska vo bill manya nahi hoga jiska payment cash mode se kiya gya hai to dosto aapko eske liye payment kewal online ya digital mode se hi karna hai.
Digital mode like as Net Banking, Credit Card, Debit Card, IMPS, NEFT, UPI
online payment karne ke bad aapko uska proof of payment bhi bill ke sath lagana hoga to dosto agar aap swip machine se payment karte ho to uska to slip aapko mil jayega lekin agar aap apne mobile se google pe, phone pe, Bhim, paytm se karte hai aapko successful payment ka screen shoot lena hoga or uska print bill ke sath lagana hoga.
ek or bat aapko dhayan rakhana hai dosto agar aap payment online kar rahe hai to dhayan rakhana ki bill jis nam se liya hai usi ke account se or jis firm se aapne bill liya hai usi ke nam ke account yan firm ke account me hi aapka paisa credit yani jama hona chahiye na ki dukandar ke personal account me.
5. Bills kaise banwaye
antim me aapko bata deta hu ki bill kaise banwan hai to dosto bill banwate samya aapko kin kin bato ka dhayan rakhna hai
1. bill gst vendor se hi lena hai yani bill ke uper dukandar ke GST no. like hone chahiye.2. bill me cgst and sgst alag alag dikhya hua hona chahiye.3. bill me gst rate 12% ya usse jayada hi honi chahiye.agar aap uper bataye huye tariko se payment or bill banwate hai to aapka appliction form reject nahi hoga or pahali bar me hi aapke account me paise aa jayega vo bhi bina kahi ghume.
0 Comments